Tuesday, June 19, 2012

Thaam le tu humein iss se pehle ki hum bikhar jaayein

Kalam uthayaa hai haathon mein
Tu jo aayaa hai in yaadon mein
Charcha tera bhar-e-shaam karenge
Aur ek kalaam tere naam karenge
Tere khayalon ko apna thikanaa banayengee
Banzar zindagi ko aansuon ka samndar banayenge
Laut ke jo aaye tu ye waqt se guzaarish karenge
Warnaa yun kab tak jeene ki aur khwaish karenge
Thaam le tu humein iss se pehle ki hum bikhar jaayein
In dhadkanon kya kya hai bharosha kab ye thehar jaayein
Aadhi adhuri in saanson ka tere bina aur kya karenge
Muskuraa to sake nahi, roz yun gazhalon mein roya karenge
© Asim

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...