Showing posts with label sad shayari. Show all posts
Showing posts with label sad shayari. Show all posts

Thursday, October 31, 2013

Dedicated to u my love---


कोई ख़ास बात नहीं हुई ।
इक रस्म था जो निभा गएँ,
तो ये ज़िन्दगी तो नहीं हुई !!!
कभी उनको हमसे था उन्स सा,
फिर हमें भी उनकी तलब लगी,
तो ये आशिक़ी तो नहीं हुई !!!
वो हज़ार शिकवा था दिल ही में,
जो ज़बां पे भी न आ सकें...
इक कशमकश में जो चुप रहें,
तो ये सादगी तो नहीं हुई !!!
था बोझ सर में तो झुक गया,
ये दिल भी थक के जो रुक गया,
था दर वो किसका नहीं पता,
यूँ कहीं पे जा के जो रुक गएँ,
तो ये बंदगी तो नहीं हुई !!!

| nm | sns | romantic | sad | dedication | writing |

Thursday, February 14, 2013

Happy Valentine’s Day

Humne jo ki thi mohabbat aaj bhi hai..
Teri zulfon ki saaye ki chahat aaj bhi hai..
Raat kat ti hai aaj bhi khayalon mein tere…
Deewano si wo meri haalat aaj bhi hai…
Kisi aur ki tasabbur ko uth ti nahi…
Beimaan aankhon mein thodi si sharafat aaj bhi hai…
Chaah k ek baar chaahe phir chhod dena tu…
Dil tod tujhe jaane ki izazat aaj bhi hai…

Thursday, June 28, 2012

Zindagi ki raah mein

Zindagi ki raah mein phool to bahut khile the par kaantein chune maine
Mefilon me shaamil to hua par humesha tanhayee ka dard paya maine
Zindagi se kya gila karte apno se hi jab begane hone ka ehsaas paya maine
Tumhare dillagi ko pyar samjh ke sab kuch khoya hai maine
Yeh kahan ka insaaf hai pyar karne ki saza sirf payi maine
Tumhare bina in aansuon aur tanhayee ke siva shayad hi kuch paya maine
Mohabbat karne ka dard mere hisse mein hi kyon paya maine
Kaise bharega ab ye zakhm jo tuj bewafaa se dil laga ke paya maine


© ASIM

Chiraag-e-mohabbat

Zindagi ki toofanon mein ek dagmagati si kashti hai meri
Mohbbat mein barbaadi ki misaal jo bane aise hasti hai meri
Khwabghaon mein bin chirag-e-mohbaat k aise bhtakaa ki
Ek roshni ki kiran ko bas jaise aankhein tarasti hai meri


© Asim, MCN: B2HYH-JRHYA-1LRVF

Tuesday, June 19, 2012

Thaam le tu humein iss se pehle ki hum bikhar jaayein

Kalam uthayaa hai haathon mein
Tu jo aayaa hai in yaadon mein
Charcha tera bhar-e-shaam karenge
Aur ek kalaam tere naam karenge
Tere khayalon ko apna thikanaa banayengee
Banzar zindagi ko aansuon ka samndar banayenge
Laut ke jo aaye tu ye waqt se guzaarish karenge
Warnaa yun kab tak jeene ki aur khwaish karenge
Thaam le tu humein iss se pehle ki hum bikhar jaayein
In dhadkanon kya kya hai bharosha kab ye thehar jaayein
Aadhi adhuri in saanson ka tere bina aur kya karenge
Muskuraa to sake nahi, roz yun gazhalon mein roya karenge
© Asim

Wednesday, March 28, 2012

Zindagi ki ulzano mein ulajhta raha

Zindagi ki ulzano mein ulajhta raha
Bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha
Jaanta tha woh shyad hi kabhi mujhe haasil hogi
Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha
Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga
Par who bhi ret ki tarah mere haath se fisalta raha
Shayad,
Khuda ko ye bhi na manzor tha aankho mein kaid karoon uske aks ko
Isliye to har lamha paani ki tarah meri aankon se behta raha

© Asim, All rights reserved.

Saturday, March 10, 2012

bewafaa sanam

Dagamate hai kadam aankhein yun hi ho jaati hai nam
Barbas hi main ruk jaaya karta hon chalke do kadam
Zamaane wale ab humein paagal samajh ne lage hain
Koi ye na samjhe asar hai ye teri bewafayee ka, o-bewafaa sanam


© Asim, All rights reserved.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...