Wednesday, March 28, 2012

Zindagi ki ulzano mein ulajhta raha

Zindagi ki ulzano mein ulajhta raha
Bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha
Jaanta tha woh shyad hi kabhi mujhe haasil hogi
Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha
Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga
Par who bhi ret ki tarah mere haath se fisalta raha
Shayad,
Khuda ko ye bhi na manzor tha aankho mein kaid karoon uske aks ko
Isliye to har lamha paani ki tarah meri aankon se behta raha

© Asim, All rights reserved.

Mohabbat mein mii saza

Mohabbat mein mii saza hamesha hoti nahi bemisaal
Ye to hoti hai ek anokhi gum jo chale saalo saal
Humne bhi to mohbbat mein aisi zakhm hai khayi
Warna aaj aapke saamne ye shayari na bayan karti mera haal

© Asim, All rights reserved.

Tuesday, March 13, 2012

Maa

Kaston ka pahaad seh ke jisne tujhe hansna sikhaya

Aaj usi maa ki aankhon mein ye aansu kyon bol?

Tu bhul ke unn naun mahine ka lalan palan

Tu apne karmo se laya aankhon mein ye aansu kyon bol?

Maa ki sukh bhari aanchal chhod tu chala galat rahon mein

To tu hi samjha maa ki aankhon mein ye aansu kyon bol?

Shakti jo rup hai, mamta ki sagar ki ek anmol moti

Chhod k tu use chala dur toh na aaye ye aansu kyon bol?



© Asim, All rights reserved.

Saturday, March 10, 2012

Waqt ne humari zindagi ko tinko mein bikhair diya hai

Waqt ne humari zindagi ko tinko mein bikhair diya hai
Sachai thi ye ki ussne humse kabhi na pyar kiya hai
Kya karein ab hum apne barbaadi ka gum bayan karke
Unhone ne to bhari mehfil mein humein inkaar kiya hai

© Asim, All rights reserved.

bewafaa sanam

Dagamate hai kadam aankhein yun hi ho jaati hai nam
Barbas hi main ruk jaaya karta hon chalke do kadam
Zamaane wale ab humein paagal samajh ne lage hain
Koi ye na samjhe asar hai ye teri bewafayee ka, o-bewafaa sanam


© Asim, All rights reserved.

Friday, March 9, 2012

Bepanaah Mohabbat

Ye sach hai kabhi hum bhi khud ko shayar kaha karte the
Hum yunhi to nahi likhte the apne hal-e-dil kagaaz pe
Wo kisi ki se bepanaah mohabbat ke daur hua karte the


© Asim. All rights reserved.

Thursday, March 8, 2012

Khuda salamat rakhe tumhe hamesha

Khawishein tamam tumhare pur-e ho
Khushiyon se tum hamesha abaad raho
Khuda salamat rakhe tumhe hamesha
Saalon saal tum yunhi jeete raho
Kisi anchue gum ki bhi parchayee na ho
Sab tumhe aate jaate kare salaam aisa tumhara naam ho
Janmdin pe tumhare hamesha tum yaad aate raho
Aur mobile pe apne mere yeh msg. har saal padhte raho
Tumhe dher sari khushiyon aur duaon ke saath,

“Tumhara Janmdin Mubarak Ho”

© Asim, All rights reserved.

Main Shayar To Nahi

Hum to mohabaat ke rahon ke fakir the..
Jab wo hamare hathon mein banke ek lakeer the…
Badlte waqt aur badlti insani fitrat ki tarah..
Hum bangaye shayar warna hum v pir the…

© Asim, All rights reserved.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...