Friday, December 20, 2013

Important Forms and Documents

Thursday, December 12, 2013

Milte rahe sabhi se magar ajanabi rahe

Badala na apne aap ko jo the vahi rahe..
Milte rahe sabhi se magar ajanabi rahe....
Duniya na jeet pao to haro na khud ko tum..
Thodi bahut to zahan mai narazagi rahe....
Apani tarah sabhi ko kisi ke talash thi..
Hum jiske bhi qarib rahe dur hi rahe....
Guzaro jo bag se to dua mangate chalo..
Jismein khile hain phul wo dali hari rahe....

Sunday, December 8, 2013

Dard-e-dil ki sifarish

Dil mera hai nasamajh kitna..
Besabar ye bewakoof bada..
Chahtaa hai kitna tujhe..
Khud magar nahi jaan saka..
Iss dard-e-dil ki sifarish ab karde koi yahan
Ki mil jaaye isse wo baarish jo bhiga de puri tarah.......
Kya hua asar tere sath rehkar ...
Naa jane ki hosh mujhe na raha
Labz mere the zubaa pe aa k ruke par ho na sake wo bayaan....
Yun dhadkan tera hi naam jo le, aankhein bhi paigaam ye de..
Teri nazar ka hi ye asar hai mujhpe jo hua
Tu jo mila toh zindagi hai badli main pura naya ho gaya
Hai beasar duniya ki baatein badi ab main teri sunoo sada....
Milne ko tujhse bahane karu, tu muskuraye wajah main banu..
Roz bitana sath mein tere sara din mera..
Iss dard-e-dil ki sifarish ab kar de koi yahan...

#Shayari Networks; #www.shayarinet.in;

Friday, November 22, 2013

#ThankYouSachin

https://www.youtube.com/watch?v=OKkqCBMFc_E&feature=youtube_gdata_player
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...