Tuesday, March 31, 2015

Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga

 Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
 Itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga!
 Tu be-misaal hai, teri kya misaal doon
 Aasmaan se aayi hai, yehi keh ke taal doon
 Phir bhi koi jo pooche, kya hai tu kaisi hai
 Hathon me rang leke, hawaa me uchaal doon
 (hawaa mein uchhal doon..)
 Khuda bhi jab tumhe mere paas dekhta hoga
 Itni anmol cheez de di kaise, sochta hoga!
 Jo bhi zameen tere paaon tale aaye
 Kadmon se chooke woh aasmaan ho jaaye
 Tere aage pheeke pheeke saare shringar hai
 Main toh kya farishte bhi tujhpe nissar hain
 Garmi ki shaam hai tu, jaadon ki dhoop hai
 Jitne bhi mausam hain, tere karzdaar hain
 (tere karzdaar hain..)
 Khuda bhi jab tere andaaz dekhta hoga
 Itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga!
 Chehra hai ya jaadu, roop hai ya khwab hai
 Aankhein hain ya afsaana, jism ya kitaab hai
 Aaja tujhe main padh loon, dil mein utaar loon
 Hothon se dekhun tujhe, aankhon se pukar loon
 Khwahishein ye kehti hain, kehti rehti hain
 Leke tujhe baahon mein shaamein guzaar loon
 (shaamein guzaar loon..)
 Khuda bhi ab tujhe din raat dhoondta hoga
 Itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga!

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...