Thursday, January 2, 2014

Ya maula chain le ya mera de sakun



Ya maula chain le ya mera de sakun
Ki bina yaar ab main na reh sakun

Bas teri yaad baaki, Bas dil mein tu hai tu hi
Main jeeyun kis tarah ho ke yaar tujh se judaa
Ya maula chain le ya mera de sakun

Wo tere vaade wo teri kasmein
Bhulun main kaise dil nahi hai bas mein

Tod ke aa jaa bandhan ras mein
Jal hi jal hai nain-kalash mein

Chalein saan toh main bhi kuch chalun
Ki bina yaar ab main na reh sakun

Uljhi hai kitni saanson ki resham
Aaankhon k sahil yaadon se hai nam

Suna sa hai dil ka ye aangan
Rakh do aa ke pyar ki shabnam

Milo tum kabhi toh main jee sakun
Ki bina yaar ab main na reh sakun

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...